ab aisi waisi mohabbat ko kya sambhaalun main ye khar-o-khas ka badan phunk hi na dalun main gar ek dil se nahin bharta mere yar ka dil to ek badan mein bhala kitne sanp palun main na qabr ki hai jagah shahr mein na masjid ki batao ruh ke kante kahan nikalun main sadaqaton pe bura waqt aane wala hai ab us ke kanpte hathon se aaina lun main kai zamane mera intizar karte hain zamin ruke to koi rasta nikalun main main aankh khol ke chalne ki lat na chhod saka nahin to ek na ek roz khud ko pa lun main hazar zakhm mile hain magar nahin milta wo ek sang jise aaina bana lun main suno main hijr mein qael nahin hun rone ka kaho to jashn ye apni tarah mana lun main