kaun hai ye matl-e-takhill par mahtab sa meri rag rag mein bapa hone laga sailab sa aag ki lapton mein hai lipta hua sara badan haddiyon ki nalkiyon mein bhar gaya tezab sa khwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa kis bulandi par uda jata hun bar-dosh-e-hawa aasman bhi ab nazar aane laga payab sa tairta hai zehn yun jaise faza mein kuchh nahin aur dil sine mein hai ek mahi-e-be-ab sa