ab aur dam na ghute raushni ka kamre mein dariche wa hon ujalon ki daud puri ho jo khwab aaen to dekhun tujhe main ji-bhar ke ki nind aae to khwabon ki daud puri ho koi badhae zara aasman ki wusat main chahta hun parindon ki daud puri ho kisi azab se ruk jae raqs qatil ka gharon ko lautte bachchon ki daud puri ho main tere hijr ke aalam mein ji nahin sakta so ab yahi ho ki sanson ki daud puri ho