diye ki aankh se jab guftugu nahin hoti wo meri raat kabhi surkh-ru nahin hoti hawa ke lams mein us ki mahak bhi hoti hai wo shakh-e-gul jo kahin ru-ba-ru nahin hoti kise nasib ye shirini-e-lab-o-lahja har ek dasht mein ye aab-e-ju nahin hoti main harf harf mein paikar tera samota hun ghazal to hoti hai par hu-ba-hu nahin hoti kabhi kabhi to main khud se kalam karta hun kabhi kabhi to ye lagta hai tu nahin hoti