ab bhala chhod ke ghar kya karte sham ke waqt safar kya karte teri masrufiyaten jaante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitare hi nahin mil pae le ke hum shams-o-qamar kya karte wo musafir hi khuli dhup ka tha sae phaila ke shajar kya karte khak hi awwal o aakhir thahri kar ke zarre ko guhar kya karte rae pahle se bana li tu ne dil mein ab hum tere ghar kya karte ishq ne sare saliqe bakhshe husn se kasb-e-hunar kya karte