nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor utha to daman-e-khudi ko tar-tar kar liya gaya guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya jo log dil ki uljhanon mein gharq the khamosh the unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya rah-e-talab ki sakhtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue surur-e-jidd-o-jahd ko khumar kar liya gaya chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue ajab nizam-e-zist ikhtiyar kar liya gaya