ab ji hudud-e-sud-o-ziyan se guzar gaya achchha wahi raha jo jawani mein mar gaya palkon pe aa ke ruk si gai thi har ek mauj kal ro liye to aankh se dariya utar gaya tujh se to dil ke pas mulaqat ho gai main khud ko dhundne ke liye dar-ba-dar gaya sham-e-watan kuchh apne shahidon ka zikr kar jin ke lahu se subh ka chehra nikhar gaya aakhir bahaar ko to jo karna tha kar gai ilzam-e-ehtiyat gireban ke sar gaya zanjir matami hai tum ai aaqilan-e-shahr ab kis ko puchhte ho diwana to mar gaya