dost kya khud ko bhi pursish ki ijazat nahin di dil ko khun hone diya aankh ko zahmat nahin di hum bhi us silsila-e-ishq mein baiat hain jise hijr ne dukh na diya wasl ne rahat nahin di hum bhi ek sham bahut uljhe hue the khud mein ek sham us ko bhi haalat ne mohlat nahin di aajizi bakhshi gai tamkanat-e-faqr ke sath dene wale ne hamein kaun si daulat nahin di bewafa dost kabhi laut ke aae to unhen hum ne izhaar-e-nadamat ki aziyyat nahin di dil kabhi khwab ke pichhe kabhi duniya ki taraf ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di