ab bhi milte hain karam bar-e-nazar hoti hai par mulaqat ba-andaz-e-digar hoti hai ab na hamdard andhera hai na shab ka parda ab teri khair ho ai dil ki sahar hoti hai ishq aur husn ko aapas mein magan rahne do warna buniyaad jahan zer-o-zabar hoti hai un ke jate hi ye ho jati hai haalat apni kan aahat pe lage dar pe nazar hoti hai hum jo rukhsat hue duniya se to duniya chaunki dil na jab dhadke jabhi dil ki khabar hoti hai