iqrar kisi din hai to inkar kisi din ho jaegi ab aap se takrar kisi din chaha kabhi socha kabhi taswir banai chhoda na teri yaad ne bekar kisi din palkon pe sitare liye rahon mein khade hain fursat ho to aa jaiye sarkar kisi din duniya mein sada chalti hai chahat ki hukumat aa jao mana lenge hum itwar kisi din aaya hai akela tujhe jaana hai akela bas dekhte rah jaenge sab yar kisi din daulat ke ye ambar tera sath na denge gir jaegi nadan ye diwar kisi din achchhi nahin lagti hamein aadat ye teri 'badr' har bar kabhi aur to har bar kisi din