ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho

ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho
aql ka dawa-e-baaligh-nazari to dekho

sar patakte hain ki diwar-e-khumistan dha den
hazrat-e-shaikh ki aashufta-sari to dekho

aaj har zakhm ke munh mein hai zaban-e-fariyaad
mere isa ki zara chaaragari to dekho

qaid-e-nazzara se jalwaon ko nikalne na diya
doston ki ye wasia-un-nazari to dekho

un se pahle hi chale aae janab-e-naseh
mere nalon ki zara zud-asari to dekho

hai taghaful ki tawajjoh nahin khulne pata
husn-e-masum ki bedad-gari to dekho

mujh se hi puchh raha hai meri manzil ka pata
mere rahbar ki zara rah-bari to dekho

un ko de aae hain khud apni mohabbat ke khutut
gham-gusaron ki zara nama-bari to dekho

donon hi rah mein takraate chale jate hain
ishq aur aql ki ye ham-safri to dekho

jawedan qurb ke lamhat hue hain mazhar
tair-e-waqt ki be-baal-o-pari to dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close