dil mein jo baat khaTakti hai dahan tak pahunche

dil mein jo baat khatakti hai dahan tak pahunche
khamushi marhala-e-arz-e-sukhan tak pahunche

mahram-e-husn-e-bahaaran to nahin ho sakti
wo nazar sirf jo gul-ha-e-chaman tak pahunche

zindagi nam isi mauj-e-mai-e-nab ka hai
mai-kade se jo uthe dar-o-rasan tak pahunche

gulsitanon ka ijara nahin fasl-e-gul par
fasl-e-gul wo hai jo har dasht-o-daman tak pahunche

ahd hum ne bhi kiya tha na milenge us se
bar-ha hum bhi usi ahd-shikan tak pahunche

baat karta hai ba-zahir badi sada si 'kamal'
jo sukhan-war hain wahi us ke sukhan tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close