ab bhi uski yaad aakar dil ko taDpa jae hai

ab bhi us ki yaad aakar dil ko tadpa jae hai
yun bhulane se kahin us but ko bhula jae hai

aur gahre ho rahe hain ahd-e-mazi ke nuqush
dil ka har ek zakhm ab nasur banta jae hai

khud-bakhud ek huk uthti hai tadap jata hai dil
jaan kar ai dost warna kis se tadpa jae hai

haal dil ka ab to surat se ayan hone laga
jis ko dekho munh mera hairat se takta jae hai

ab to hai tark-e-tamanna hi gham-e-dil ka ilaj
in tamannaon se dil ka dard badhta jae hai

pas-e-khatir hai kahun kya apne chaara-saz se
badh rahi hai tis jitna zakhm bharta jae hai

jam milte hain 'shifa' ko un ki chashm-e-mast se
laghzishen hoti to hain lekin sanbhalta jae hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close