ab tumhaara gham mere dil se bhula sakta hai kaun jo tumhaara hai use apna bana sakta hai kaun ya to diwana hanse ya tum jise taufiq do warna is duniya mein rah kar muskura sakta hai kaun ab to dil ghabra gaya hai shiddat-e-alam se tum batao abr-e-rahmat ban ke chha sakta hai kaun zist se ummid wabasta hai un ke qurb ki warna is bar-e-amanat ko utha sakta hai kaun waqif-e-anjam-e-ulfat the hum is ke bawajud wo fareb-e-dosti khaya hai kha sakta hai kaun jab karam hota hai mil jate hain koh-o-dasht mein dair-o-kaba mein bhi warna un ko pa sakta hai kaun ishtiyaq-e-did shayad kar raha tha rahbari kis tarah hum aae manzil tak bata sakta hai kaun hum ne aankhen band karke dil mein dekha hai tumhein samne aao to tab-e-did la sakta hai kaun mai ho ya masti ba-qadr-e-zarf milti hai 'shifa' aur apne zarf ko un se chhupa sakta hai kaun