ab chhalakte hue saghar nahin dekhe jate tauba ke baad ye manzar nahin dekhe jate mast kar ke mujhe auron ko laga munh saqi ye karam hosh mein rah kar nahin dekhe jate sath har ek ko is rah mein chalna hoga ishq mein rahzan o rahbar nahin dekhe jate hum ne dekha hai zamane ka badalna lekin un ke badle hue tewar nahin dekhe jate