jab kabhi tark-e-gham-e-dil ka sawal aata hai ret par nam tha mera bhi khayal aata hai mauj-e-tufan uthi bah chale khwabon ke sadaf phir baraste hue baadal pe zawal aata hai ab mere khwab ke hamrah wahi yaaden hain jin ko malum na tha shishe mein baal aata hai jab simat aaya hai khud jism hi peshani par kyon dar-e-dil pe dabe panw malal aata hai kya tera zehn bhi lamhon ke safar mein hoga teri baraat mein rah rah ke khayal aata hai koi aisa bhi hai jo naqsh-ba-diwar na ho ab ye tamir ki rahon mein sawal aata hai ghantiyan waqt ki bajti hain musalsal 'ummid' fasle kahte hain ek aur bhi sal aata hai