ab dil ko hum ne banda-e-jaanan bana diya ek kafir-e-azal ko musalman bana diya dushwariyon ko ishq ne aasan bana diya gham ko surur dard ko darman bana diya is jaan-faza itab ke qurban jaiye abru ki har shikan ko rag-e-jaan bana diya barq-e-jamal-e-yar ye jalwa hai ya hijab chashm-e-ada-shanas ko hairan bana diya ai zauq-e-jushtuju teri himmat pe aafrin manzil ko har qadam pe gurezan bana diya utthi thi bahr-e-husn se ek mauj-e-be-qarar fitrat ne is ko paikar-e-insan bana diya ai soz-e-na-tamam kahan jae ab khalil aatish-kade ko bhi to gulistan bana diya waraftgan-e-shauq ko kya dair kya haram jis dar pe di sada dar-e-jaanan bana diya aansu ki kya bisat magar josh-e-ishq ne qatre ko mauj mauj ko tufan bana diya kya ek main hi main hun is aaina-khane mein mujh ko to kashf-e-raaz ne hairan bana diya