karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karkhana hai jis ki jitni aamadani itna hi bada us ke hirs ka dahana hai ye shuur-zade jo manfat-guzida hain haif un ki nazron mein be-gharaz mulaqaten aur khulus ki baaten feal-e-ahmaqana hai apni zat se qurbat apne nam se nisbat apne kaam se raghbat apna khol hi un ka khitta-e-marasim hai ku-e-dostana hai har khushi ki mahfil mein qahqahe lutate hain khud hi lutte bhi hain gham ki majlison mein bhi sab ka apna apna sar apna apna shana hai jin buland shakhon par narm-rau hawaen hain bijliyon ka dar bhi hai irtiqa ke jangal mein hadsat ki zad par sab ka aashiyana hai tarz-e-baghbani mein shiddat-e-numu-khezi kaise gul khilaegi nim-wa shagufon ke rang-e-dil-farebi mein bu-e-tajirana hai jagmagate baam-o-dar jhilmilate rauzan hain chamchamati dahlizen zahiri chamak 'azim' turra-e-sharafat hai raunaq-e-zamana hai