ab dil mein aarzuon ke aasar dekhna viraniyon mein shahar-e-numudar dekhna kaun aa gaya charagh ki lau kis ne tez ki shoale se ho gaya hai kise pyar dekhna do ashk chashm-e-naz ki duniya badal gae ek barg-e-gul pe os ki miqdar dekhna mansur ek giraft mein mansur ho gaya banda-nawazi-e-rasan-o-dar dekhna ye kaun jhankta hai dariche se bar-bar lau de raha hai saya-e-diwar dekhna daman se dur rah gaya hath aaftab ka us aane wali subh ki raftar dekhna aai jo gard-e-rah to daman jhatak diya aawargan-e-shauq ka kirdar dekhna tum ko agar na ho koi ehsas-e-kamtari 'nazish' ki chashm-e-shauq ka mear dekhna