hamare dil se rang-e-gham na utra

hamare dil se rang-e-gham na utra
bhara bhi zakhm to marham na utra

bahut talkhi thi nakaami ki lekin
khumar-e-koshish-e-paiham na utra

tahammul ne bahut tufan kiye jazb
magar dariya-e-sham-e-gham na utra

badhi kuchh aur gul ki tishna-kaami
jigar mein qatra-e-shabnam na utra

na pahuncha taq-e-nisyan tak kabhi hath
dobara hum se jam-e-jam na utra

hui zahir na insan ki haqiqat
libas-e-shadi-o-matam na utra

tasawwur ab haqiqat ban gaya hai
tumhaara aks tum se kam na utra

sarayat kar gai jab maut 'nazish'
kisi tadbir se ye sam na utra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close