ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin 'shad' ab ashaar mere dar-khur-e-mahfil nahin tu mere ashk-e-nadamat ki haqiqat kuchh na puchh us ka har qatra wo dariya hai jahan sahil nahin ghar khuda ka tha magar but is mein aa kar bas gae ab muraqqa hai hasinon ka hamara dil nahin nukta-chin ho meri rindana rawish par kyun koi main koi zahid nahin waiz nahin aaqil nahin parda-dari karti hai dar-parda laila ishq ki jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mahmil nahin inqalab-e-dahr se ulta zamane ka waraq ahl-e-mahfil wo nahin wo raunaq-e-mahfil nahin hind mein chalne lagi hai ab hawa-e-inqalab 'shad' sach hai ye jagah rahne ke ab qabil nahin saghar-e-mai pesh kar ke shaikh kahlata hun main hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qabil nahin haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya ishq ka dawa huzur-e-husn to baatil nahin