jahilon ko salam karna hai aur phir jhut-mut darna hai kash wo raste mein mil jae mujh ko munh pher kar guzarna hai puchhti hai sada-e-baal-o-par kya zamin par nahin utarna hai sochna kuchh nahin hamein filhaal un se koi bhi baat karna hai bhuk se dagmaga rahe hain panw aur bazar se guzarna hai