ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah betiyan aai hain sasural se pariyon ki tarah us se chahen bhi to daman ko chhuda sakte nahin zindagi hum pe musallat hai riwajon ki tarah qahat-sali ki kare kaun bayan shan-e-warud sab pareshan hain ujde hue kheton ki tarah jo diya khun-e-riyazat to hue hain takhliq sare sheron se mujhe pyar hai bachchon ki tarah is ko tum apni wafa ka na karishma samjho yun bhi mil jate hain kuchh log faqiron ki tarah mar ke bhi mera tashakhkhus na koi chhin saka ilm banta na gaya mere asason ki tarah 'jaan' phir kar ke kisi roz ye ud jaengi betiyan bap ke aangan mein hain chidiyon ki tarah