ab harf-e-tamanna ko samaat na milegi bechoge agar khwab to qimat na milegi tashhir ke bazar mein ai taza kharidar zebaishen mil jaengi qamat na milegi lamhon ke taaqub mein guzar jaengi sadiyan yun waqt to mil jaega mohlat na milegi socha hi na tha yun bhi use yaad rakhenge jab us ko bhulane ki bhi fursat na milegi ta-umr wahi kar-e-ziyan ishq raha yaad haalanki ye malum tha ujrat na milegi tabir nazar aane lagi khwab ki surat ab khwab hi dekhoge bashaarat na milegi aaina-sifat waqt tera husn hain hum log kal aaine tarsenge to surat na milegi