kunj-e-izzat se utho subh-e-bahaaran dekho dosto naghmagaro raqs-e-ghazalan dekho mit gaya rah-guzaron se har ek naqsh-e-khizan waraq-e-gul pe likhe ab nae unwan dekho mutriban bahr-e-qadam-bosi-e-shirin-sukhanan mahfil-e-gul mein chalo jashn-e-bahaaran dekho muzhda phir khak-e-khizan-rang ki qismat jagi aa gaya jhum ke abr-e-guhar-afshan dekho ham-nawa ho ke mere tum bhi ghazal-khwan ho jao jo lab-e-ju-e-rawan sarw-khiraman dekho ye julus-e-gul-o-raihan hai kahan nara-zanan uth ke darwaze se bahar to meri jaan dekho