ab hijr nibhane ki tarkib alag hogi

ab hijr nibhane ki tarkib alag hogi
dukh sare wahi honge tartib alag hogi

waise to zamane mein lakhon hi misalen hain
hum suli chadhenge jab taqrib alag hogi

kuchh yar ki basti mein aankhon se ujale hain
jagmag ko sitaron ki tansib alag hogi

hum khana-ba-doshon ne bas is liye hijrat ki
socha tha ki gaon ki tahzib alag hogi

dushman ke kharabe se kuchh khas nahin hota
apne jo karenge ab takhrib alag hogi

is pahli mohabbat mein 'qasim' ki bhi sun lena
jo khud wo dilaega targhib alag hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close