daman pe rang-e-lala-o-gul aana chahiye dil khun ho ke aankhon se bah jaana chahiye mere sukut hi ka sahi zikr ku-ba-ku logon ko ek shaghl ek afsana chahiye aae wo aarzu ho jise did ki magar mahfil mein us ki jaan ka nazrana chahiye ab ban gaya hai dard hi wajh-e-sukun-e-dil ab mujh ko dard-e-dil ka mudawa na chahiye phir dil ko hai usi khalish-e-tir ki talab phir wo nigah-e-nargis-e-mastana chahiye 'qasid' safar ka azm hi jab tum ne kar liya phir hadsat-e-rah se na ghabrana chahiye