ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gae hain

ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gae hain
manzil thi ek lekin raste badal gae hain

kis par yaqin kije ye daur matlabi hai
lagta hai khun ke bhi rishte badal gae hain

aankhen bata rahi hain zahir hai haal dil ka
wo bewafa nahin the kitne badal gae hain

hum jaante hain phir bhi pahchanna hai mushkil
kuchh doston ke itne chehre badal gae hain

un ko pata tha shayad ek din lagegi thokar
achchha hai waqt se wo pahle badal gae hain

jab se mili hai daulat aadab bhul baithe
ab baat-chit ke bhi lahje badal gae hain

hai waqt ka taqaza chup-chap ghar mein rahiye
chahat wafa mohabbat jazbe badal gae hain

masumiyat kahin par gum ho gai hai 'akhtar'
lagta hai shahr ja kar bachche badal gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close