band honTon se bhi izhaar-e-tamanna karte

band honton se bhi izhaar-e-tamanna karte
aaina ban ke tere husn ko dekha karte

apna saya bhi yahan ghair nazar aata hai
ajnabi shahr mein hum kis pe bharosa karte

us ki mahfil mein to ek bhid thi diwanon ki
pahle dil ahl-e-nazar ahl-e-wafa kya karte

ishq har haal mein paband-e-wafa hota hai
hum to badnam the kyun aap ko ruswa karte

itni guzri hai jahan aur guzar jaegi
zindagi ke liye itna nahin socha karte

jab talak sans chale bas yun hi chalte rahiye
chal ke do-chaar qadam yun nahin thahra karte

ai khuda hum teri wahdat pe yaqin rakhte hain
kyun tere dar ke siwa hum kahin sajda karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close