ab ijazat de ki main hun jaan-ba-lab ai zindagi maut aati hai bas ab hadd-e-adab ai zindagi kis liye ab tak jiya hun aur kyon zinda rahun apne hone ka bata mujh ko sabab ai zindagi kyon bani hai jaan ki dushman meri mujh ko bata tere pichhe main bhala bhaga hun kab ai zindagi husn daulat dost duniya dil nazar har ek shai chhod jaunga teri khatir ye sab ai zindagi sochta hun kya karegi mere bin tanha bhala chhod jaunga tujhe ek roz jab ai zindagi