ba-zom-e-aql ye kaisa gunah main ne kiya ek aaina tha usi ko siyah main ne kiya ye shahr-e-kam-nazaran ye dayar-e-be-hunaran kise ye apne hunar ka gawah main ne kiya harim-e-dil ko jalane laga tha ek khayal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiya wahi yaqin raha hai jawaz-e-ham-safari jo gah us ne kiya aur gah main ne kiya bas ek dil hi to hai waqif-e-rumuz-e-hayat so shahr-e-jaan ka use sarbarah main ne kiya har ek ranj usi bab mein kiya hai raqam zara sa gham tha jise be-panah main ne kiya ye rah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisar-e-zat ko paiwand-e-rah main ne kiya ye umr ki hai basar kuchh ajab tawazun se tera hua na hi khud se nibah main ne kiya khirad ne dil se kaha tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabah main ne kiya