ab is makan mein naya koi dar nahin karna ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna zara hi der mein kya jaane kya ho raat ka rang so ab qayam sar-e-rahguzar nahin karna bayan to kar dun haqiqat us ek raat ki sab pa shart ye hai kisi ko khabar nahin karna rafugari ko ye mausam hai sazgar bahut hamein junun ko abhi jama-dar nahin karna khabar hai garm kisi qafile ke lutne ki ye waqia hai to sair o safar nahin karna