harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbar miyan sar jhukae hain khade sab tere sardar miyan koi wardi na sanad hai use darkar miyan rahnuma mera ho bas sahab-e-kirdar miyan kaise hoti hai sahar kis ko sahar kahte hain wahi jaane jo raha raat mein bedar miyan tum sahaara mujhe kya doge kabhi mushkil mein tum to khud se bhi nazar aate ho bezar miyan hae kya soch ke nikle the kabhi ghar se tum mangte phirte ho ab saya-e-diwar miyan raushni bhi nahin in mein na hai khushbu koi kya kitaben teri kya hain tere ashaar miyan khun kiya dil ko liya dagh jigar par main ne mujh se puchho ki hai kya ishq ka aazar miyan gham na sine se lagae main jahan se jata mujh ko duniya mein jo milta koi gham-khwar miyan har taraf jalwa-numai thi usi ki 'masud' tum rahe phir bhi yahan tishna-e-didar miyan