ab ise kya kare koi aankhon mein raushni nahin shahr bhi ajnabi nahin log bhi ajnabi nahin hum ne ye soch kar kabhi jurat-e-arz ki nahin shikwa ba-sad-khulus bhi shewa-e-dosti nahin yun to bade khulus se log hue hain ham-safar rah mein sath chhod den un se baid bhi nahin pursish-e-haal ke siwa koi kare bhi kya magar pursish-e-haal dosto tanz hai dosti nahin bite hue khushi ke din bhuli hui kahaniyan aap ko yaad hon to hon hum ko to yaad bhi nahin