koi achchha lage kitna hi bharosa na karo har kisi ko kabhi apni tarah samjha na karo jis mein tufan bhanwar mauj na gahrai ho aise pani mein kabhi bhul ke utra na karo chand sapne hi to tute hain abhi sans nahin is tarah apni tamannaon ko maila na karo band kamre se nikal aao ki duniya hai badi hath par hath dhare baith ke socha na karo hum ne mana ki bahut tut chuke ho phir bhi chal pade ho to kahin rah mein thahra na karo sar uthati hui maujon se hawaon ne kaha waqt ke sath chalo waqt se uljha na karo na jala panw nae dip koi baat nahin kam se kam un ko jo jalte hain bujhaya na karo chahe kitne hi ghane kyun na hon sae us ke nim ke ped se aamon ki tamanna na karo un zaminon ko mahakne do abhi pedon se waqt se pahle unhen kat ke sahra na karo apni pahchan agar tum ko hai karni qaem sab ki aawaz mein aawaz milaya na karo dank chahe koi mare koi chahe das le zahr se zahr ko 'asif' kabhi mara na karo