ab itni arzan nahin bahaaren wo aalam-e-rang-o-bu kahan hai qafas mein baithe raho asiro abhi nasheman bahut giran hai guzar raha hai jo dil pe aalam ayan na hone pe bhi ayan hai abhi faqat qasd hai fughan ka abhi se chehra dhuan dhuan hai kahin qayamat na uth khadi ho zamin milti hai aasman se badi nazakat ki ye ghadi hai meri jabin un ka aastan hai ye khushk-lab ye udas chehra ye muzmahil muzmahil se aansu yahi fasana yahi haqiqat yahi khamoshi yahi zaban hai ye sab hai nai-rang-e-ab-o-dana kahan hun main aah kya bataun yahi hain bas mere do thikane qafas nahin hai to aashiyan hai charagh hain aasman ke thande wo bijliyan sard pad gain sab na ab wo tufan-e-rang-o-bu hai na ab chaman hai na aashiyan hai dhuan chhata shoale raqs mein hain nazar utha dekh raushni mein ye tujh ko kya ho gaya hai hamdam tera nahin mera aashiyan hai uruj par hai mera muqaddar ki tasht-az-baam hai asiri zamane ka inqalab dekho qafas ke sae mein aashiyan hai wahi gharibon ka bhi khuda hai bahut hai jine ko ye sahaara 'siraj' is daur se guzarna magar bada sakht imtihan hai