zahir musafiron ka hunar ho nahin raha chal bhi rahe hain aur safar ho nahin raha kya hashr hai ki barish-e-naisan ke bawajud paida kisi sadaf mein guhar ho nahin raha subh-e-visal kab se numudar ho chuki napaid sham-e-hijr ka dar ho nahin raha qail tamam shahr tere eatibar ka hona to chahiye tha magar ho nahin raha baithe hue hain der se shatir bisat par mohara koi idhar se udhar ho nahin raha lagta hai yun qayam hai apna sarae mein hum jis makan mein hain wo ghar ho nahin raha murda hue hain lafz ki patthar samaaten khami kahin to hai ki asar ho nahin raha 'gulzar' sab ne ped ko sincha hai khun se taqsim har kisi pe samar ho nahin raha