ab jam hamara hai dil-aram hamara munh dekhti hai gardish-e-ayyam hamara hasrat-zada-e-shauq hai ummid hamari mahrum-e-tamanna dil-e-nakaam hamara hum to hain kahin jalwa-gah-e-naz kahin aur ek manzil-e-dushwar hai har-gam hamara hum aur shabistan-e-adu muft ki tohmat kahte hain ki hoga koi hamnam hamara mahshar mein hue jab khat-e-amal ke tukde un shokh hasinon mein bika nam hamara saghar jo liya hath mein aansu nikal aae rindon ki zabanon pe raha nam hamara kya qahr thi ya-rab nigah-e-naz ki shokhi chutki mein uda le gai aaram hamara 'nazish' koi ji chhod gaya shauq-e-sitam se ruswai-e-ulfat mein hua nam hamara