faza-e-barq kya raqs-e-sharar kya karishmon se lade un ki nazar kya khayal-e-hur-o-kausar se hai badmast gham-e-din ki ho waiz ko khabar kya rahegi hashr mein yaad-e-mai-o-jam kiya hai aur hum ne umr bhar kya talash-e-dard hai ahl-e-hawas ko kashish hai khel bikta hai asar kya bane hain tar-e-daman khar-e-daman lagae hath in ko bakhiya-gar kya anal-haq par abas hai shor-e-beja na tha yazdan ki surat mein bashar kya na ho mizhgan ko jumbish ye guzar jae hayat-e-aish bhi hai mukhtasar kya gire the phul kuchh sham-e-lahad ke uda kar le gai baad-e-sahar kya wo daman ho to rone ka maza hai dikhae josh-e-tufan chashm-e-tar kya bana rakkha hai diwana kisi ko tumhaare husn mein hai ye asar kya harif-e-rabt hai ruswai-e-shauq ye hans kar kah gaya paighambar kya rahun mahrum-e-zauq-e-marg-e-ulfat mujhe tu kosta hai chaaragar kya rahe jis dil mein soz-e-gham wo dil hai rahe jis ghar mein tariki wo ghar kya junun-e-ishq hai ek chiz naseh tujhe samjhaen hum aashufta-sar kya mohabbat mein hai dil ka aaina dil tamannaen idhar se hon udhar kya sukhan-parwar hai daur-e-na-shanasi sabaq-amoz ho arz-e-hunar kya tamasha-gah-e-hasrat chashm-o-dil hain tajalli munhasir hai tur par kya khula ye bhi sharik-e-jam tha yar hui khalwat ki tauba parda-dar kya raqam lo pir-e-mai-khana se 'nazish' tumhein darpesh hai hajj-e-safar kya