ab jo dekha to dastan se dur uth raha tha dhuan chatan se dur dekhna kya makan ki jaanib ab yahan baith kar makan se dur hijr kis aankh ka sitara hai raqs karta hai aasman se dur zindagi ka koi hadaf to bana dil koi said kar kaman se dur jaanta hun zamin kis ki hai baith jata hun saeban se dur dil wo aatish-kada ki raushan hai shahr-e-shiraaz o sherwan se dur lad raha hun 'rasa' qabila-war 'mir'-o-'mirza' ke khandan se dur