jo be-sabaat ho us sarkhushi ko kya kije ye zindagi hai to phir zindagi ko kya kije ruka jo kaam to diwangi hi kaam aai na kaam aae to farzangi ko kya kije ye kyun kahen ki hamein koi rahnuma na mila magar sarisht ki aawargi ko kya kije kisi ko dekh ke ek mauj lab pe aa to gai uthe na dil se to aisi hansi ko kya kije hamein to aap ne soz-e-alam hi bakhsha tha jo nur ban gai us tirgi ko kya kije hamare hisse ka ek jura bhi nahin baqi nigah-e-dost ki mai-khangi ko kya kije jahan gharib ko nan-e-jawin nahin milti wahan hakim ke dars-e-khudi ko kya kije visal-e-dost se bhi kam na ho saki 'rashid' azal se pai hui tishnagi ko kya kije