ab jo khwab-e-giran se jage hain panw sar par rakhe hain bhage hain khar-e-hasrat bhare hain aankhon mein panw mein khwahishon ke tage hain khauf hai waswase hain lekin shukr azm-o-himmat jo apne aage hain rakht-e-ummid hai safar ki jaan saz-o-saman to kachche dhage hain tum se milna to ek bahana hai hum to dar-asl khud se bhage hain lag lage nahin lagi 'ahmad' hum jo soe to bhag jage hain