ban-sanwar kar jo wo bazar nikal jate hain dekhne walon ke jazbaat machal jate hain har taraf hota hai mushtaq nigahon ka hujum dil tadapte hue sinon se nikal jate hain barq girti hai jidhar aankh utha kar dekhen hiddat-e-husn se aasab pighal jate hain achchhe lagte hain hasin log hamare dil ko gham ke mare hue hum log bahal jate hain sair ko aate hain gulshan mein raqibon ki tarah phul sare wo gulistan ke masal jate hain pur-kashish jitne hain us shokh jawani ke nuqush sare naqshe mere ashaar mein dhal jate hain jaane kyun log taraste hain bahaaron ke liye hum to ehsas ki shiddat hi se jal jate hain ek halchal si macha deti hai surat un ki chikni mitti pe mere panw phisal jate hain raat bhar ye dil-e-wahshi nahin sota 'saqib' soch ke rang andhere mein badal jate hain