ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen dil thahre to dard sunaen dard thame to baat karen sham hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifan raushan ki ghar ko aag lagaen hum bhi raushan apni raat karen qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahu apni gardan pe mohr-ba-lab baithe hain kis ka shikwa kis ke sath karen hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chand sitare sath rahe subh ki virani mein yaro kaise basar auqat karen