ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue jo qatil the maqtul hue jo said the ab sayyaad hue pahle bhi khizan mein bagh ujde par yun nahin jaise ab ke baras sare bute patta patta rawish rawish barbaad hue pahle bhi tawaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki hum tum se pahle bhi yahan 'mansur' hue 'farhad' hue ek gul ke murjhane par kya gulshan mein kohram macha ek chehra kumhla jaane se kitne dil nashad hue 'faiz' na hum 'yusuf' na koi 'yaqub' jo hum ko yaad kare apni kya kanan mein rahe ya misr mein ja aabaad hue