ab jo utthenge to kandhon pe uthana hoga bistar-e-khak pe phir hum ko sulana hoga hum se ujde hue logon se bhi mil kar dekho darmiyan koi to ek rabt purana hoga aakhiri dhup hain aankhon mein basa lo warna phir kahan khwab kisi shab ka suhana hoga jab ho isbaat hi khud apni nafi ka bais dil ko har qaid-e-tamanna se chhudana hoga teri duniya ki aziyyat to utha li yarab bojh uqba ka bhi kya yun hi uthana hoga