ab tabiat kahan rawani mein kashti tuti hai thahre pani mein waqt yun tham gaya hai aankhon mein daere jam gae hon pani mein ghar hi andar se lut gaya sara hum to bahar the pasbani mein lutf mausam ka kya uthate hum dil hamesha raha girani mein hum to khush-fahmiyon mein jite hain khub matlab hai be-zabani mein