ab kahan wo jurat-e-izhaar ‘kaifi-azmi’ ho gaya suna sukhan-darbar ‘kaifi-azmi’ rah gaya sani kahan us ka jahan-e-sher mein waqt se tha barsar-e-paikar ‘kaifi-azmi’ khak mein sher-o-sukhan ke baam-o-dar ghaltan hue kaun hai ab ghazi-e-guftar ‘kaifi-azmi’ ilm-o-hikmat ka khasara kis tarah bardasht ho shaeri ka sust hai bazar ‘kaifi-azmi’ sher-raste ke musafir is liye ghamgin hain kat gae sab ped saya-dar ‘kaifi-azmi’ kaun sunta hai sada tute hue dil ki 'azim' kis se ja kar main karun izhaar ‘kaifi-azmi’