bichchha hai palang aaj lab-e-baam kisi ka

bichchha hai palang aaj lab-e-baam kisi ka
tadpaega shab-bhar mujhe aaram kisi ka

chupke bhi raho 'bahr' na lo nam kisi ka
iman kisi ka hai na islam kisi ka

nikla tere hathon na kabhi kaam kisi ka
pahunchaya na tabut bhi do-gam kisi ka

duniya se ye nafrat hai ki ab dil mein yahi hai
munh dekhen kisi ka na sunen nam kisi ka

ye honth na bolen kalima bad ye dua hai
ye kan sunen koi na ilzam kisi ka

tuta jo kabhi shisha-e-mai aai ye aawaz
us bazm mein mamur hua jam kisi ka

hum qaidiyon tak baad-e-saba bhi nahin aae
pahunchae kisi gul ko jo paigham kisi ka

duniya se safar shabnam-o-khurshid ke manind
hai subh kisi ka to sar-e-sham kisi ka

hum logon ki jo baat hai wo be-sar-o-pa hai
aaghaz kisi ka hai na anjam kisi ka

diwane hain wo log jo gul khate hain us par
gham-khwar na hoga wo gul-andam kisi ka

duniya ke khayalat ko dil mein na jagah den
khalwat-gah-e-mahbub mein kya kaam kisi ka

hai shairon ke dil ka koi shahid-e-aini
mazmun ko hum kahte hain paigham kisi ka

fariyaad ki taqat nahin hum jaan-ba-labon ko
ab dil na dukhae wo dil-aram kisi ka

sandal ki na bu jaegi piso ki jalao
mitta hai mitae se kahin nam kisi ka

duniya se bhi uqba se bhi sharminda rahe hum
kuchh ho na saka 'bahr' sar-anjam kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close