ab kaise rafu pairahan ho is aawara diwane ka kya jaane gareban hoga kahan daman se bada virane ka waiz na sunega saqi ki lalach hai use paimane ka mujh se hon agar aisi baaten main nam na lun maikhane ka kya jaane kahega kya aa kar hai daur yahan paimane ka allah kare waiz ko kabhi rasta na mile maikhane ka turbat se laga karta mahshar sunte hain koi milta hi nahin manzil hai badi aabaadi ki rasta hai bada virane ka jannat mein piyega kyunkar ai shaikh yahan gar mashq na ki ab mane na mane teri khushi hai kaam mera samjhane ka ji chaha jahan par ro diya hai panw mein chubhe aur tut gae kharon ne bhi dil mein soch liya hai kaun yahan diwane ka hain tang teri mai-kash saqi ye padh ke namaz aata hai yahin ya shaikh ki tauba tudwa de ya waqt badal maikhane ka har subh ko aah sar se dil-e-shadab jarahat rahta hai gar yun hi rahegi baad-e-sahar ye phul nahin murjhane ka bahke hue waiz se mil kar kyun baithe hue ho mai-khwaro gar tod de ye sab jam-o-subu kya kar loge diwane ka ahbab ye tum kahte ho baja wo bazm-e-adu mein baithe hain wo aaen na aaen un ki khushi charcha to karo mar jaane ka us waqt khulega his ko bhi ehsas-e-mohabbat hai ki nahin jab shama sar-e-mahfil ro kar munh dekhegi parwane ka baadal ke andhere mein chhup kar maikhane mein aa baitha hai gar chandni ho jaegi 'qamar' ye shaikh nahin phir jaane ka